Bajirao Mastani Dialogue

1. Yodha Hun,
Thokar Pathar Se Lage Tab bhi Haath Talvar Par Hi Jata Hai..!

2. Yeh Dharti, Yeh Aasmaan Aur Sine Ki Aag Ko Sakshi Maankar Hum Aapko Kubool Karte Hai..!

3. Tujhe Yaad Kar Liya Hai Aayat Ki Tarah,
Ab Tera Zikar Hoga Ibadat Ki Tarah..!

4. Sidha Hamla Karo Jaise Kismat Karti Hai..!

5. Sahi Rakha Hai Aapka Naam Mastani...
Apni Hi Masti Mein Rehne Wali...!

6. Patni Toh Radha Bhi Nahi Thi Lekin Naam Krishna Ka Unhi Ke Saath Liya Jaata Tha..!

7. Nishana Chooka Nahi Hai Bas Rishta Beech Mein Aa Gaya...!

8. Lagaam Dikhti Nahi Hai, Par Zubaan Per Honi Chahiye..!

9. Kiski Talvar Par Sir Rakhu Yeh Bata Do Mujhe,
Ishq Karna Agar Khata Hai Toh Saza Do Mujhe..!

10. Jung Mein Khone Wale Phir Bhi Mil Jaate Hai,
Apne Angaan Mein Khone Wale Milte Nahi Hai..!

11. Jab Deewaron Se Zyaada Doori Dilon Mein Ho Jaye Toh Chath Nahi Tikti...!

12. Ishq, Jo Tufani Duniya Se Bagawat Karjaye Woh Ishq,
Bharay Darbar Mein Jo Duniya Se Lad Jaae Woh Ishq,
Jo Mehboob Ko Dekhe Toh Khuda Ko Bhul Jaae Woh Ishq.!

13. Hum Janam Se Brahmin Hai Karam Se Kshatriya..!

14. Heere Mein Heera Ho Toh Use Kehte Hain Kohinoor,
Rao Ka Naam Lete Hi Kaashi Ke Chehre Pe Aata Hai Noor.!

15. Duniya Hum Dono Ko Ek Hi Naam Se Yaad Rakhegi BAJIRAO MASTANI

16. Cheeteh Ki Chaal,
Baaz Ki Nazar
Aur Baaji Rao Ki Talvar
Par Sandeh Nahi Karte,
Kabhi Bhi Maat De Sakti Hai...

17. Bajirao Ki Raftaar Hi Bajirao Ki Pehchan Hai...

18. Baajirao Ne Mastani Se Mohabbat Ki Hai Aiyashi Nahi...!

19. Agar Humne Unhe Jaate Hue Dekh Liya Toh Humaari Jaan Hi Chali Jaayegi..!

20. Aap Humse Humari Zindagi Maang
Lete Hum Aap Ko Khushi Khushi De Dete,
Par Aapne Toh Humse Humara Guroor Cheen Liya...

Post a Comment

0 Comments