Description
Album – ONE (Original Never Ends)Singer – Badshah
Lyrics – Badshah
Music – The Boss
Music Label – Sony Music
Lyrics
Aise Na Dekh Mujhe Lyrics
Aise na dekh mujhe uh uh, uh uhAise na dekh
Nah, ghalat!
Aise na dekh mujhe
Don’t look at me like that
Aise na dekh…
19 November, 1984
Mere maa baap ko nahi thi khabar zara si
Ke unke ghar paida hone wala hai woh
Jiski wajah se nakli rapper laga lenge faansi
Mera flow hai taaza, unka flow hai baasi
Mujhe dekh unke chehre pe chhaayi hai udaasi
Jab woh karte hain rap leke nakli si cap
Main leta hoon ubaasi…
Uh, jaise main karoon Hindi mein rap
Koyi karke dikhao aise
Uh, mere jaisa main bas main ek
Roz ke dekhun 36 tum jaise
Mere gaano mein asar
Tere gaano mein kasar
Aage niklega kaise
Uh, 30 lakh ek show ka bina kisi album
Mujhpe likho koi essay…
Tum phenkte raho
Maine aag laga di tum sekte raho
Tumhein lagta hai tum rok paoge mujhe
Sapnon ka kya hai bete dekhte raho
Aise na dekh mujhe uh uh, uh uh
Aise na dekh
Nah, ghalat!
Aise na dekh mujhe
Don’t look at me like that
Aise na dekh…
Na aise na dekh mujhe
Aise na dekh
Na aise na dekh mujhe
(Sapno ka kya hai bete dekhte raho)
Rap ki maa bhen ek karne chale hain
Ladke yeh kal ke (kal ke)
Tum karte nakal
Mujhe poora bharosa apni akal pe
Jeeta hoon aaj ke liye main
Lekin meri nazrein hain kal pe
Main hoon banda kameena
Bhool ke bhi na jaana iss bholi si shakal pe
Tum jaison ke to hath bhi nahi aaunga
Auto mein aaya automatic mein jaunga
Jo bhi kaha tha sab karke dikhaunga
Bollywood ko Chandigarh mein bithaaunga
Main likhta rahunga
Jo bhi jee mein aaye meer likhta rahunga
Apne gaano pe na na.. na na.. na na..
Karun to bhi bikta rahunga
Uh, jalne waale sach nahi bolte
Chehre pe dikhta hai munh nahi kholte
Waise chaahein jo bhi bolein
But khade huve rongte jhoot nahi bolte
Aise na dekh mujhe uh uh, uh uh
Aise na dekh
Nah, ghalat!
Aise na dekh mujhe
Don’t look at me like that
Aise na dekh…
Na, aise na dekh mujhe
Aise na dekh
Na, aise na dekh mujhe
uh.. yeah yeah uh
The Boss on the beat
Ahaan ahaan!
Sapno ka kya hai bete dekhte raho.
0 Comments