Dhuaan Lyrics - Rahul Ram, Siddharth Mahadevan - D-Day (2013)

 Description:


Song: Dhuaan
Movie: D-Day
Singer: Rahul Ram, Siddharth Mahadevan
Lyrics: Niranjan Iyengar
Music: Ehsaan Noorani, Loy Mendonsa, Shankar Mahadevan
Music Label: T-Series


Lyrics:


Na Raha Kahin
Yaadon Ka Karvaan
Bik Chuka Yun Hi
Hone Ka Har Nishan
Kyun Bhooli Inhein Zamin
Kyun Bhoola Ye Aasmaan
Na Jaane Ye Kho Gaye Kahan

Rang Khwabon Ke
Jinke Khoon Se Range
Raste Naye Junoon Se Bane
Kyun Bhooli Inhein Zamin
Kyun Bhoola Ye Aasmaan
Na Jaane Ye Kho Gaye Kahan

Sitare Bhi Jinko Na
De Sake Panah
Kahani Ye Unki
Jinhein Bhoole Do Jahan
Humne Kar Diya
Jinhein Dhuaan

Maangna Nahin Bas
Dena Hai Jinki Zubaan
Loot Kar Jinhein Humne
Baandha Hai Ye Sama
Jo Bhooli Inhein Zamin
Jo Bhoola Ye Aasmaan
Na Kehlayenge Hum Insaan

Sitare Bhi Jinko Na
De Sake Panah
Kahani Ye Unki Jinhein
Bhoole Do Jahan
Humne Kar Diya
Jinhein Dhuaan

Sitare Bhi Jinko Na
De Sake Panah
Kahani Ye Unki Jinhein
Bhoole Do Jahan
Humne Kar Diya
Jinhein Dhuaan

Kyun Humne Kar
Diya Unhein Dhuaan
Kyun Humne Kar
Diya Unhein Dhuaan.

Post a Comment

0 Comments