Main Yahan Tu Wahan Lyrics - Amitabh Bachchan, Alka Yagnik - Baghban (2003)

 Description:


Song: Main Yahan Tu Wahan
Movie: Baghban
Singer: Amitabh Bachchan, Alka Yagnik
Lyrics: Sameer
Music: Aadesh Shrivastava
Music Label: T-Series

Lyrics:


Main yahan tu wahan

Zindagi hai kahan


Main yahan tu wahan

Zindagi hai kahan

Main yahan tu wahan

Zindagi hai kahan


Tu hi tu hai sanam

Dekhta hoon jahan


Neend aati nahi

Yaad jaati nahi

Neend aati nahi

Yaad jaati nahi


Bin tere ab jiya jaaye na


Main yahan tu wahan

Zindagi hai kahan


Waqt jaise thehar gaya hai yahin

Har taraf ek ajab udasi hai

Bekarari ka aisa alam hai

Jism tanha hai rooh pyasi hai


Teri soorat ab ek pal

Kyun nazar se hat’ti nahi

Raat din to kat jaate hain

Umrr tanha kat’ti nahi

 

Chah ke bhi na kuch

Keh sakun tujhse main

Chah ke bhi na kuch

Keh sakun tujhse main


Dard kaise karun main bayan


Main yahan tu wahan

Zindagi hai kahan


Jab kahin bhi aahat huyi

Yun laga ke tu aa gaya

Khushbu ke jhonke ki tarah

Meri sansein mehka gaya


Ek woh daur tha

Hum sada paas the

Ek woh daur tha

Hum sada paas the


Ab to hain faaslein darmiyan


Main yahan tu wahan

Zindagi hai kahan


Beeti baatein yaad aati hain

Jab akela hota hoon main

Bolti hain khamoshiyan

Sabse chhupke rota hoon main


Ek aarsa huwa

Muskuraye huye

Ek aarsa huwa

Muskuraye huye


Aansuon mein dhali daastan


Main yahan tu wahan

Zindagi hai kahan


Tu hi tu hai sanam

Dekhta hoon jahan


Neend aati nahi

Yaad jaati nahi

Neend aati nahi

Yaad jaati nahi


Bin tere ab jiya jaye na

Post a Comment

0 Comments