Jo Mujhe Deewana Karde Lyrics - Tulsi Kumar, Manan Bhardwaj (2022)

 Description:


Song: Jo Mujhe Deewana Karde
Singer: Tulsi Kumar, Manan Bhardwaj
Lyrics: Manan Bhardwaj
Music: Manan Bhardwaj
Music Label: T-Series

Lyrics: 


Keh de tu keh de

Bas aaj woh baat

Teri ho jaayenge


Jab chala jayega

Woh kisko bolegi

Akeli reh jayegi


Sach sach keh de usse

Kuch na chupa tu

Jo bhi hai dil mein tere

Sab kuch bata tu


Usse sach kaise main bolun

Himmat hai kahan

Arre himmat hai kahan

 

Usse sach kaise main bolun

Himmat hai kahan

Aur bin bole woh samjhe

Aisi kismat hai kahan


Jo mujhe deewana kar de

Mujhe aisa nasha kara de

Jab tak main sach na bolun

Mujhe tab tak tu pila de


Jo mujhe deewana kar de

Mujhe aisa nasha kara de

Jab tak main sach na bolun

Mujhe tab tak tu pila de


Aane wali hai bas

Baat woh zubaan pe

Bol dungi bin dare

Sabke saamne yahan pe


Aane wali hai bas

Baat woh zubaan pe

Bol dungi bin dare

Sabke saamne yahan pe

 

Haan puchh lo bas usse koi

Itna kyun woh rude hai

Aise banta hai ke jaise

Iklauta hi dude hai


Ab kaise bolun usko

Jo mujhe 3 saal se kehne hai

Mujhe le jaaye utha ke woh

Mujhe uske sath hi rehna hai


Meri chahat koi usko

Kaano mein jaake bata de

Jab tak woh haan na bole

Usse tab tak tu pila de


Jo mujhe deewana kar de

Mujhe aisa nasha kara de

Jab tak main sach na bolun

Mujhe tab tak tu pila de


Rakhe hain maine bhi

Tujhse chhupa ke

Chori kiye the maine

Jo bhi sitaare


Socha tha dunga

Tujhko main uss din

Naam tu mera jab

Khulke pukaare


Lo pukara naam tumhara

Jo bhi churaya hai

Hawale mere kar do


Tod ke laa do mujhe

Taare woh saare

Aur laake unko meri

Jeb mein bhar do


Yeh saare ke saare taare

Waise to hain bade pyaare

Thode se main bhi rakh loon

Abhi chand ke paas hain saare


Yeh chanda aur yeh taare

Saare ke saare tumhare

Tu bole to aasmaan bhi

Main naam kar doon tumhare


Jo mujhe deewana kar de

Mujhe aisa nasha kara de

Jab tak main sach na bolun

Mujhe tab tak tu pila de


Jo mujhe deewana, nana nana na

Mujhe aisa nasha, dere nana na

Jab tak main sach na bolun

Mujhe tab tak tu pila de


Keh de tu keh de

Keh de tu keh de

Post a Comment

0 Comments