Pyaar Hota Kayi Baar Hai Lyrics - Arijit Singh - Tu Jhoothi Main Makkar (2023)


 

Description:


Song: Pyaar Hota Kayi Baar Hai
Movie: Tu Jhoothi Main Makkar
Singer: Arijit Singh
Lyrics: Amitabh Bhattacharya
Music: Pritam
Music Label: T-Series

Lyrics:


Ishak mere yaara

Tu kar le dobaara

Bas ik baar mein hi

Bhare na dil bechara


Sang rehne ke shaam savere

Kya karne hain vaade bathere

Hai zindgani agar char din ki

To lene hi kyun saat pehre


Toone jawani mein seekha

Na jaane kahan ka saleeka

Jo pehle hi break up mein

Dil ne tere give up kar diya


Ek baar hi kiya to yaaron

Pyaar kya kiya

Ek baar hi kiya to yaaron

Pyaar kya kiya


Pyaar hota hota hota kayi baar hai

Sirf ek pe kiya to dil nisaar kya kiya

Sirf ek pe kiya to dil nisaar kya kiya

Pyaar hota hota hota kayi baar hai

Pyaar hota hota hota kayi baar hai


Pehli mohabbat mein to

Lagta yahi hai darling

Mar jaunga jo mujhko yeh na mili


Agli dafa mohabbat hoti hai to lagta hai

Yeh wali mujhko pehle kyun na mili

Woh dil kya bhala

Jo toota na kabhi


Pehli dafa chot kha ke

Kyun dil ko lagana hi chhodein

Sab kuchh mohabbat mein chalta hai to

Kyun na do char dil hum bhi todein


Toone jawani mein seekha

Na jaane kahan ka saleeka

Jo pehle hi break up mein

Dil ne tere give up kar diya


Ek baar hi kiya to yaaron

Pyaar kya kiya

Ek baar hi kiya to yaaron

Pyaar kya kiya


Pyaar hota hota hota kayi baar hai

Sirf ek pe kiya to dil nisaar kya kiya

Sirf ek pe kiya to dil nisaar kya kiya

Pyaar hota hota hota kayi baar hai

Pyaar hota hota hota kayi baar hai


Tainu pyaar di lor ae

Chahida kinna ve

Kadi das de yaar nu

Inna inna ve


Ae lo ae lo

Tainu pyar di lor ae

Chahida kinna ve


Twaadi khidmat vich haazir

Ae lo ae lo

Pyaar hota hota hota kayi baar hai




Post a Comment

0 Comments