Mera Aasmaan Jal Gaya Lyrics - Arijit Singh - PS 2 (2023)

Mera Aasmaan Jal Gaya Lyrics - Arijit Singh - PS 2

 

Description:


Song: Mera Aasmaan Jal Gaya
Movie: PS 2
Singer: Arijit Singh
Lyrics: Gulzar
Music: AR Rahman
Music Label: Tips Official

Lyrics:


Mera aasmaan jal gaya re

Chaand ko aag lagi

Aasman pe raakh hi raakh udi hai

Jal gaya mera aasmaan


Aankhein behti hai janiya

Palkein jalti hain

Jeene ka pal pal gaya janiya

Jal gaya mera aasmaan


Paaon mein veerana

Dil mein bhi ujada hai janiya

Jaaye kahan deewana

Jal gaya mera aasmaan


Aadhi aadhi raat mein kabhi

Tum neend mein bulati thi

Raat jal gayi woh janiya

Khwab jal gaya re


Baadlon se narm the janiya

Hath jo sehlate the

Aankhon hi se bolti thi tum

Honth to behlate the


Mera aasmaan jal gaya re

Chaand ko aag lagi

Aasman pe raakh hi raakh udi hai

Jal gaya mera aasmaan


Aag hi aag hai meri

Char dishaon mein

Pag pag pade hain chhaale

Ab mere paaon mein


Kaun se jahan mein ab tujhe

Jaaun khojun re

Mere haar jahan ka nishan

Jal gaya jal gaya re


Mera aasmaan jal gaya re

Chaand ko aag lagi

Aasman pe raakh hi raakh udi hai

Jal gaya mera aasmaan


Aankhein behti hai janiya

Palkein jalti hain

Jeene ka pal pal gaya janiya

Jal gaya mera aasmaan





Post a Comment

0 Comments