Pagal Parindey Lyrics - Sunidhi Chauhan - The Kerala Story (2023)

Pagal Parindey Lyrics - Sunidhi Chauhan - The Kerala Story

 

Description:


Song: Pagal Parindey
Movie: The Kerala Story
Singer: Sunidhi Chauhan
Lyrics: Ozil Dalal
Music: Bishakh Jyoti
Music Label: Sunshine Pictures

Lyrics: 


Na zamin mili na falak mila

Hai safar mein andha parinda

Jis raah ki manzil nahi

Wahin kho gaya hoke gumrah


Na zamin mili na falak mila

Hai safar mein andha parinda

Jis raah ki manzil nahi

Wahin kho gaya hoke gumrah


Hawa gaon ki ab bhi dhoondh rahi

Bebas aakhein yeh dhundhli hoti rahi

Na bola kuchh na kuchh kaha

Koyi jaata hai kya is taraf


Na zamin mili na falak mila

Hai safar mein andha parinda

Jis raah ki manzil nahi

Wahin kho gaya hoke gumrah


Zindan ko udaan samajh baitha

Ik baar bhi mud ke na dekha

Hare pedon ki shaakhein chhod aaya

Masoom ko kisne behkaya


Hariyali woh yaadon mein aati rahi

Raahein takreerein roz sunati rahi

Na dua mili na mila khuda

Hua kaid paagal parinda


Na zamin mili na falak mila

Hai safar mein andha parinda

Jis raah ki manzil nahi

Wahin kho gaya hoke gumrah


Zehan mein kisne zehar daala

Rooh pe kehar kar daala

Jhoothi tasveer dikha ke mazhab ki

Kambakht insan badal daala


Dozakh ki taraf haaye nadaan chali

Jannat gaon mein thi achhi bhali

Aakhein khuli to sab dikha

Gumnaam hai yeh parinda


Na zamin mili na falak mila

Hai safar mein andha parinda

Jis raah ki manzil nahi

Wohi kho gaya hoke gumrah




Post a Comment

0 Comments