Baarish Hai Janam Lyrics - Stebin Ben, Payal Dev (2023)

Baarish Hai Janam Lyrics - Stebin Ben, Payal Dev

 

Description:


Song: Baarish Hai Janam
Singer: Stebin Ben, Payal Dev
Lyrics: Raj Shekhar
Music: Payal Dev
Music Label: T-Series

Lyrics: 


Koi to aisa hota jo

Shehar mein baadal le aata

Jo mere khwabon jaisa ho

Ik aisa pagal le aata


Tumhari chhat pe dekho na

Main leke baadal aaya hoon

Jo tum pe hans ke mar jaaye

Wohi main pagal aaya hoon


Bheegna hai mujhe aaj to

Tumhare sang jee bhar ke


Yeh pehli baarish hai janam

Woh jiski chahat thi hardum


Badi mannat se aaya hai

Mohabbat wala yeh mausam

Yeh pehli baarish hai janam

Woh jiski chahat thi hardum

Badi mannat se aaya hai

Mohabbat wala yeh mausam


Badi dilkash badi nazuk si

Dekho raat aayi hai

Sulagti hai meri dhadkan

Yeh kya barsaat aayi hai


Yeh mausam bhi hai mauka bhi

To kyun hum bewajah tarsein


Chalo na ek dooje pe

Zara hum toot ke barsein

Bheegna hai mujhe aaj to

Tumhare sang jee bhar ke


Yeh pehli baarish hai janam

Woh jiski chahat thi hardum

Badi mannat se aaya hai

Mohabbat wala yeh mausam


Yeh pehli baarish hai janam

Woh jiski chahat thi hardum

Badi mannat se aaya hai

Mohabbat wala yeh mausam


Tumhare sath ki baarish mein

Boondein muskurati hain

Jo na ho sath mein tere

Woh baarish dil jalaati hai


Idhar tum ho jo baahon mein

Khuda se aur kya mangun

Har ik baarish tumhare sath ghuzre

Yeh dua mangun yeh dua mangun





Post a Comment

0 Comments